کون رکھتا ہے یہاں مجھکو بتا گنجائش
دل میں رکھتا ہے سدا خوف خودا گنجائش
یہ نصیحت تو بزرگوں سے ملی ہے مجھکو
تلخ رشتوں میں بھی رکھتا ہوں سدا گنجائش
Kaun rakhta hai yaha’n mujhko bata gunjaish
dil me’n rakhta hai sad khauf e khuda gunjaish
Ye naseehat to buzurgo’n se mili hai mujhko
Talkh rishto’n me’n bhi rakhta hoo’n sada gunjaish
Yu’n to aaya nahi’n aankho’n ko muravvat karna
Dil me’n karti hai muhabbat ki sada gunjaish
Jab yaqi’n hai ki woh har haal me’n tera hoga
Tab kaha’n baqi rahi gham ki bhala gunjaish
Be wafayi ki koyee had bhi hua karti hai
Khud b khud rakhti hai itni to wafa gunjaish
Daur e haazir ka ajab haal hua hai yaaro
Dekhne ki nahi’n milti hai zara gunjaish
Iss se behtar hai ki ab apni anaa takraye
ChhoD de shikwe gile thodi dikha gunjaish
Zakhm auro’n ke nazar aaye’nge tujhko ‘Sahil’
Apne kirdaar me’n thodi si badha gunjaish