Har eik hath me’n patthar hai kya kiya jaaye
Ye aayine ka muqaddar hai kya kiya jaaye…
Bana liya hai use markaz e nazar maine
Saraapa husn ka paiker hai kya kiya jaaye…
Woh chahe jaan bhi le le meri to hai manzoor
Mera bharosa ussi par hai kya kiya jaaye….
Agar woh chahe bhi ek pal to jee nahi’n sakta
Ajal ka waqt muqararr hai kya kiya jaaye….
Chala gaya hai woh maqtal se qatl karke magar
Ye jurm bhi mere sar par hai kya kiya jaaye…..
Koi mahal me’n rahe aur kisi ko chhat bhi nahi’n
Ye apna apna muqaddar hai kya kiya jaaye….
Junoon mujhko hai ‘Sahil’ talak pahunchne ka
Magar ye gham ka samandar hai kya kiya jaaye….