حادثہ تو بس اک بہانہ تھا
روح کو جسم چھوڈ جانا تھا
بے اثر سب دواییں ہوتی رہیں
زخم کمبخت بھی پرانا تھا
Hadsaa to bas ek bahaana tha
Rooh ko jism chhor jaana tha…..
Be asar sab dawaye’n hoti rahi’n
Zakhm kambakht bhi puraana tha…..
Kaise kahta mai’n alvidaa use
Uske dil me’n mira thikaana tha….
Qatra qatra tha gham samandar me’n
Seepiyo’n me’n use sajaana tha……
Muflisi me’n akela chhor aaye
Sath jiska tumhe’n nibhaana tha…..
Raah purkhaar thi magar mujhko
Apna daman bhi khud bachaana tha…
Wo na samjha usool ki khushbu
Uska andaaz taajiraana tha…….
Hum manate rahe jise har dam
Uski aadat me’n rooth jaana tha…..
Kyu’n na aata mai’n waqt par ‘Sahil’
Meri qismat me’n aab-o-daana tha….