ہم قلندر ہیں ہمیں آتا ہے فاقہ کرنا
ہمنے سیکھا ہی نہیں کوئی تماشہ کرنا

 

رازدان بن کے رہو کچھ تو سلیقہ سیکھو
راز پر اتنا بھی مشکل نہیں پردہ کرنا

 

Hum qalandar he’n hame’n aata hai faaqah karna

Hum ne seekha hi nahi’n koyi tamasha karna..

 

Raazda’n ban ke raho kuchh to saleeqa seekho

raaz par itna bhi mushkil nahi’n pardah karna…

 

Yu’n bhi dekha hai kayi baar teri mehfil me’n

Kitna aasaa’n hai kisi shakhs ko ruswa karna..

 

Yaad hai khoob mujhe mere liye rab ke huzoor

Maa’n ka ro dena, duaa karna woh sajdah karna……

 

Aa’nsuo’n ko kabhi girne na diya palko’n se

Mujhko ayaa hi nahi’n pyaar ko ruswa karna

 

Ishque ye kaun si manzil pe mujhe le aaya

Aayina saamne rakhna, tujhe sochaa karna…..

 

Apne ajadaad se ‘Sahil’ ye hunar ayaa hai

Rah-e-huque me’n na kabhi jaan ki parwa karna…..

Comments

comments