ایسا نہیں سلام کیا اور گزر گئے
جب بھی ملے کسی سے تو دل میں اتر گئے

 

کردار بیچ دینے کا انجام یہ ہوا
دل میں اترنے والے نظر سے اتر گے

 

aisā nahīñ salām kiyā aur guzar ga.e

jab bhī mile kisī se to dil meñ utar ga.e

 

zulm-o-sitam ke aage kabhī jo jhuke nahīñ

un ke nasīb un ke muqaddar sañvar ga.e

 

kirdār bech dene anjām ye huā

dil meñ utarne vaale nazar se utar ga.e

 

kuchh kaifiyat ajiib rahī apnī dosto

dostī kisī se to had se guzar ga.e

 

bachchoñ bhuuk maañ davā aur haath tañg

ye marhale bhī ham ko gunahgār kar ga.e

 

kuchh zindagī to mujh se masā.il ne chhīn

jo bach ga.ī thī hādse barbād kar ga.e

 

‘sāhil’ jab un ko koī Thikāna nahīñ milā

ġham un ke saare mere dil meñ Thahar ga.e

Comments

comments