merī āñkhoñ meñ

 merī āñkhoñ meñ hue raushan jo ashkoñ ke charāġh un ke hoñToñ par tabassum kā diyā jaltā rahā   میری آنکھوں میں ہویے روشن جو اشکوں کے چراغ انکے ہونٹوں پر تبسّم کا دیا جلتا رہا...

jo asāsa zindagī

jo asāsa zindagī kā us ne joḌā umr bhar maut kā sailāb jab aayā to sab kuchh bah gayā   جو اساسہ زندگی کا اسنے جوڑا عمر بھر موت کا سیلاب جب آیا تو سب کچھ بہہ گیا

GHAZAL : ab haqiqat lag raha hai

  اب حقیقت لگ رہا ہے میرا افسانہ مجھے ساری دنیا کہہ رہی ہے تیرا دیوانہ مجھے     میں اٹھا تو کون ہونٹوں سے لگاےگا انہیں مدّتوں دوندھا کرینگے جام و پیمانہ مجھے   ab haqīqat lag rahā hai merā afsāna mujhe saarī duniyā kah rahī hai terā dīvāna mujhe...

duur rahtī haiñ

duur rahtī haiñ sadā humse se balā.eñ sāhil apne maañ baap kī hum roz duā lete haiñ     دور رہتی ہیں سدا ہمسے بلایں ساحل اپنے ماں باپ کی ہم روز دوا لیتے ہیں